Thursday, July 21, 2011

...

"adha gaun" k first chapter k raza ji ki tareh mujhe bhi duniyaa ki bahut si baate samjh nahi aati..jaise mujhe samjh nahi aata ki hum unn baaton pe kyun shraminda hote hain..jinpe hume bhale hi naaz na ho..lekin sharminda hone wali to koi bhi baat nahi hoti..aur jin baato pe hume actualy sharam aani chahiye..unpe hume na jaano kyun fakra hota hai...
..umm..jaise ...haan..jaise ki humare koi karibi relative gaun k hain..aur hum shaher k (wannabee ! ) pade likhe "so called" sabhya nagrik hain..to kyun humko apne unn relatives ko apne shaher k doston se parichay karane mai sharam aaati hai ??...
hume galiyaa dene mai ( perticularly english) bada maza aata hai..apne se choton ko satane mai..torcher kerne mai bada maza aata hai..aur jo ziada galiya de..ziada bhaukli ho..usse apne pe fakr hota hai ! batao !! wat nonsense !!
aaaaaajeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeebbb system hai !! samjh hi nahi aata !
sabh ko na power chahiye..saara game bus power ka hi hota hai..ferzi ka bhaukali banne k liye !
dikhane k liye ki kitne mahan hain hum !! zindagi ki irony ye hai ki hum sabhi ek doosre ki asliyat se wakif hote hain...ki kon kitne paani mai hai..phir bhi...ferzi hai bhaukal..samne wale ho dekh k..ukse jaisa baanne ki koshish sirf samne wale ko ye prove kerne k liye..ki hum ziada powerful hain ! lekin kyun !!